Teri Wafa Mein Mere Intizar Mein Kya Tha

teri wafa mein mere intizar mein kya tha

KHizan ke dard mein zaKHm-e-bahaar mein kya tha

ye sochna tha na ho jaen is qadar majbur

ye dekhna tha tere iKHtiyar mein kya tha

labon ne phul tarashe nazar ne barsae

magar wo kawish-e-mizhgan-e-yar mein kya tha

udhar KHayal tha ruKHsar-o-chashm-o-lab ka idhar

KHabar nahin dil-e-ummid-war mein kya tha

nazar ke kanTe pe tul kar subuk hue na garan

tawazun-e-nigah-e-nau-bahaar mein kya tha

nigah mein ramz-e-ghazal lab pe maqta-e-tamkin

bayan to kijiye us iKHtisar mein kya tha

labon ko tum ne to 'masud' si liya tha magar

tabassum-e-nigh-e-raaz-dar mein kya tha

(340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Wafa Mein Mere Intizar Mein Kya Tha In English By Famous Poet Masud Husain Khan. Teri Wafa Mein Mere Intizar Mein Kya Tha is written by Masud Husain Khan. Read famous Poem Teri Wafa Mein Mere Intizar Mein Kya Tha for youth and Student by Masud Husain Khan. Free Download Teri Wafa Mein Mere Intizar Mein Kya Tha in PDF.