KHulus-e-tamir Ho Jo Shamil Sitam Ka Jazba Bura Nahin Hai

KHulus-e-tamir ho jo shamil sitam ka jazba bura nahin hai

wafa karenge wo kya kisi se jinhen shuur-e-jafa nahin hai

teri samajh mein na aa sakegi kisi ke ashkon ki qadr-o-qimat

abhi hai na-ashna-e-gham tu abhi tera dil dukha nahin hai

wafa ki azmat se aashna hain kahen to rudad-e-gham kahen kya

tujhe nadamat ho jis ko sun kar wo dastan-e-wafa nahin hai

KHuda-na-karda tumhaare dil ko koi dukhae to kya karoge

nigahen tum ne to aisi pherin ki jaise mera KHuda nahin hai

wo khoya khoya sa un ka aalam labon pe halki si muskurahaT

ada ye un ki 'matin' jaise suna bhi hai aur suna nahin hai

(669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHulus-e-tamir Ho Jo Shamil Sitam Ka Jazba Bura Nahin Hai In English By Famous Poet Matin Niazi. KHulus-e-tamir Ho Jo Shamil Sitam Ka Jazba Bura Nahin Hai is written by Matin Niazi. Read famous Poem KHulus-e-tamir Ho Jo Shamil Sitam Ka Jazba Bura Nahin Hai for youth and Student by Matin Niazi. Free Download KHulus-e-tamir Ho Jo Shamil Sitam Ka Jazba Bura Nahin Hai in PDF.