Kabhi Kabhi To Mohabbat Ki Zindagi Ke Liye

kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye

KHud un ko hum ne ubhaara hai barhami ke liye

kiya hai kaam baDa zindagi mein ashkon ne

diye jalae shab-e-gham mein raushni ke liye

wo aaj bhi hain usi tirgi ki manzil mein

ujala mang ke lae jo raushni ke liye

ada-e-jaur-e-mohabbat mein nagawar nahin

KHulus chahiye ai dost barhami ke liye

ye daur wo hai ki apne hain ghair se bad-tar

kaleja chahiye apnon se dosti ke liye

dalil-e-azmat-e-insan hai ye nizam-e-jahan

zamin hai gardish-e-paiham mein aadmi ke liye

hamare haal-e-pareshan pe kash ek nazar

bhare hain rup ye hum ne teri KHushi ke liye

ye zindagi bhi ajab zindagi hai kya kahiye

'matin' Thokaren khate hain hum KHushi ke liye

(367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kabhi To Mohabbat Ki Zindagi Ke Liye In English By Famous Poet Matin Niazi. Kabhi Kabhi To Mohabbat Ki Zindagi Ke Liye is written by Matin Niazi. Read famous Poem Kabhi Kabhi To Mohabbat Ki Zindagi Ke Liye for youth and Student by Matin Niazi. Free Download Kabhi Kabhi To Mohabbat Ki Zindagi Ke Liye in PDF.