Yahi Justuju Ka Kamal Hai Yahi Aagahi Ki Talash Hai

yahi justuju ka kamal hai yahi aagahi ki talash hai

use samho apni talash tum jo tumhein kisi ki talash hai

yahi aaina hai wo aaina jo liye hai jalwa-e-agahi

ye jo shaeri ka shuur hai ye payambari ki talash hai

wo masarraton ka hujum kya jo tawaf-e-ishq-o-tarab kare

wo KHushi jo auron ko de sakun mujhe us KHushi ki talash hai

ye jo pastiyan hain uruj ki ye tabahiyan jo hain zehn ki

koi rahbar hai to aae phir unhen rahbari ki talash hai

meri zindagi meri shaeri hai haqiqaton ka ek aaina

ye 'matin' gham jo aziz hai ye meri kabhi ki talash hai

(504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Justuju Ka Kamal Hai Yahi Aagahi Ki Talash Hai In English By Famous Poet Matin Niazi. Yahi Justuju Ka Kamal Hai Yahi Aagahi Ki Talash Hai is written by Matin Niazi. Read famous Poem Yahi Justuju Ka Kamal Hai Yahi Aagahi Ki Talash Hai for youth and Student by Matin Niazi. Free Download Yahi Justuju Ka Kamal Hai Yahi Aagahi Ki Talash Hai in PDF.