KhiDki Se Us Sanam Ka Jo MukhDa Nazar PaDa

khiDki se us sanam ka jo mukhDa nazar paDa

taq-e-haram se jalwa KHuda ka nazar paDa

sat aasman ki sair hai pardon mein aankh ke

aankhen khulin to turfa tamasha nazar paDa

dekha hai aankh ne tera ji chahe puchh dekh

ai dil main kya kahun mujhe kya kya nazar paDa

insan un ko dekh ruke kyunki aankh se

hur o pari ko jin ka na saya nazar paDa

main mast hun 'mazaq' mai-e-intizar se

saqi na mai na jam na mina nazar paDa

(305) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhiDki Se Us Sanam Ka Jo MukhDa Nazar PaDa In English By Famous Poet Mazaq Badayuni . KhiDki Se Us Sanam Ka Jo MukhDa Nazar PaDa is written by Mazaq Badayuni . Read famous Poem KhiDki Se Us Sanam Ka Jo MukhDa Nazar PaDa for youth and Student by Mazaq Badayuni . Free Download KhiDki Se Us Sanam Ka Jo MukhDa Nazar PaDa in PDF.