Waiz Buton Ke Aage Na Furqan Nikaliye

waiz buton ke aage na furqan nikaliye

surat se un ki mani-e-quran nikaliye

hai dil mein muddaa ki ewaz jaan nikaliye

ji khoiye pa ji ka na arman nikaliye

is dil mein aise tir hain kitne hi be-nishan

aap-apna dekh-bhaal ke paikan nikaliye

hai ji mein rakhiye aah ke shoala pe laKHt-e-dil

pariyon ke sar pe taKHt-e-sulaiman nikaliye

zaKHm aur aae lek meri jaan KHalish na jae

dil chiriye jigar se na paikan nikaliye

dikhlaiye na kawish-e-paikan ka intizar

nashtar se jald dida-e-hairan nikaliye

rahiye 'mazaq' hashr ke maidan mein surKH-ru

mazmun-e-ru-e-shah-e-shahidan nikaliye

(341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waiz Buton Ke Aage Na Furqan Nikaliye In English By Famous Poet Mazaq Badayuni . Waiz Buton Ke Aage Na Furqan Nikaliye is written by Mazaq Badayuni . Read famous Poem Waiz Buton Ke Aage Na Furqan Nikaliye for youth and Student by Mazaq Badayuni . Free Download Waiz Buton Ke Aage Na Furqan Nikaliye in PDF.