Tajalli Gar Teri Past O Buland Un Ko Na Dikhlati

tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati

falak yun charKH kyun khata zamin kyun farsh ho jati

hina tere kaf-e-pa ko na us shoKHi se sahlati

ye aankhen kyun lahu rotin unhon ki nind kyun jati

agar ye sard-mehri tuj ko aasaish na sikhlati

to kyunkar aaftab-e-husn ki garmi mein nind aati

ilahi dard-e-gham ki sarzamin ka haal kya hota

mohabbat gar hamari chashm-e-tar se meinh na barsati

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tajalli Gar Teri Past O Buland Un Ko Na Dikhlati In English By Famous Poet Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Tajalli Gar Teri Past O Buland Un Ko Na Dikhlati is written by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Read famous Poem Tajalli Gar Teri Past O Buland Un Ko Na Dikhlati for youth and Student by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Free Download Tajalli Gar Teri Past O Buland Un Ko Na Dikhlati in PDF.