Nala Jidhar Mera Guzar Kar Gaya

nala jidhar mera guzar kar gaya

tir sa har dil mein asar kar gaya

dil na raha aap mein aur main ba-KHud

meri taraf jab wo nazar kar gaya

khol ke zulfon ke tain chehra par

yar baham sham-o-sahar kar gaya

ahl-e-hawas raat gali mein teri

jaane se ai shoKH hazar kar gaya

aur jo mujh sa tha koi jaan-fishan

dar pe tere ji se guzar kar gaya

dekhiyo sabit-qadami qais ki

ishq mein kya umr basar kar gaya

rah-e-KHatarnak-e-mohabbat ko tai

ba-qadam dida-e-tar kar gaya

koi tha kuche mein sanam ke jo aaj

girya-e-KHun ta-ba-kamar kar gaya

aql pe nazan hun 'jahandar' ki

dil na diya us ko hunar kar gaya

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nala Jidhar Mera Guzar Kar Gaya In English By Famous Poet Meerza Jawan Bakht Jahandar. Nala Jidhar Mera Guzar Kar Gaya is written by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Read famous Poem Nala Jidhar Mera Guzar Kar Gaya for youth and Student by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Free Download Nala Jidhar Mera Guzar Kar Gaya in PDF.