Is Waqt Bare Kuchh To Karam-baKHshi Kijiye

is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye

guzre hum aur baat se gali hi dijiye

sabr aur din-o-dil to tum aage hi le chuke

baqi hai jaan hamari so ab ye bhi lijiye

dewe wo jam ghair kun yun mere samne

ye dekh kyunki KHun-e-dil apna na pijie

naseh ye kya hisab ki main jeb ko silaun

behtar hai aap munh ke tain apne si jiye

patthar bhi bilke dekh 'jahandar' ka ye haal

pyare kabhu to aap bhi is par pasijiye

(403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Waqt Bare Kuchh To Karam-baKHshi Kijiye In English By Famous Poet Meerza Jawan Bakht Jahandar. Is Waqt Bare Kuchh To Karam-baKHshi Kijiye is written by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Read famous Poem Is Waqt Bare Kuchh To Karam-baKHshi Kijiye for youth and Student by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Free Download Is Waqt Bare Kuchh To Karam-baKHshi Kijiye in PDF.