Dekho To Mere Nala-o-ah-o-fughan Ki Or

dekho to mere nala-o-ah-o-fughan ki or

ban is kaDak se jawe hai kab aasman ki or

masjid ko chhoD aae kalisaiyan ki or

chhoDa nawah-e-kaba chale hum butan ki or

zahid tere kamal pe maren hain pusht-e-pa

lae faro sar apna jo pir-e-mughan ki or

sukh nind be-KHudi ki use turt aa gai

laga jo gosh Tuk bhi meri dastan ki or

TukDe jigar ke bah chale ham-rah-e-sail-e-ashk

lata hai khinch KHar-o-KHas aab-e-rawan ki or

zalim silah bandh ke aana ba-qasd-e-qatl

kya hai zarur, apne kisi nim-jaan ki or

kuchh kam nahin teri nigah-o-abru-o-mizha

mat hath la tu KHanjar-o-tegh-o-sinan ki or

teri nigah-e-mehr ne mujh se wo kuchh kiya

jo kuchh ki chashm-e-mah kare hai katan ki or

un ankhDiyon ki putliyon se aankh ja lagi

ja phirti nain nigah ab un abruwan ki or

misra ye apna aaya 'jahandar' hum ko yaad

chhoDa nawah-e-kaba chale hum butan ki or

(383) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekho To Mere Nala-o-ah-o-fughan Ki Or In English By Famous Poet Meerza Jawan Bakht Jahandar. Dekho To Mere Nala-o-ah-o-fughan Ki Or is written by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Read famous Poem Dekho To Mere Nala-o-ah-o-fughan Ki Or for youth and Student by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Free Download Dekho To Mere Nala-o-ah-o-fughan Ki Or in PDF.