Yak Do Jam Aur Bhi De Tu Saqi

yak do jam aur bhi de tu saqi

na rahe dil mein aarzu saqi

meri taskin na hogi saghar se

munh se mere laga subu saqi

raat o din mai-kashon ko rahti hai

teri hi yaad o justuju saqi

rind-e-muflis ko de hai zyaad sharab

bhai mujh ko teri ye KHu saqi

aah tujh bin hain zar-o-nalan hum

bhuli masti ki haw-hu saqi

shisha-e-mai ki tarah se hum aaj

rakhte hain girya dar-gulu saqi

kisi ke aage misl-e-saghar hum

late hain dast-e-arzu saqi

late hain misl-e-shisha-e-baada

tere hi aage sarfaru saqi

ro nahin us ko bazm-e-mastan mein

jis ke tain tu na dewe ru saqi

de 'jahandar' ko wo mai jis ka

howe gul ka sa rang-o-bu saqi

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yak Do Jam Aur Bhi De Tu Saqi In English By Famous Poet Meerza Jawan Bakht Jahandar. Yak Do Jam Aur Bhi De Tu Saqi is written by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Read famous Poem Yak Do Jam Aur Bhi De Tu Saqi for youth and Student by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Free Download Yak Do Jam Aur Bhi De Tu Saqi in PDF.