Sunta Nahin Kisu Hi Ki Wo Yar Dekhna

sunta nahin kisu hi ki wo yar dekhna

kijo na us se haal-e-dil izhaar dekhna

gustaKH be-tarah hai tujh aaghosh se ye hath

ho jaega gale ka tere haar dekhna

tujh dar pe misl-e-naqsh-e-qadam ek umr se

pyare fatada hai ye gunahgar dekhna

ghar tere gae pe tujh kun na paya bila raqib

mujh ko hua ye gul ke ewaz KHar dekhna

sham-e-jamal apne pe chahe jo imtihan

parwana-war mujh ko bhi yak-bar dekhna

koi tira-baKHt mujh sa bhi hoga jahan mein

tujh zulf se mila na mujhe tar dekhna

is raaz-e-ishq ko kahin ro ro ke shama san

izhaar kijiyo na 'jahandar' dekhna

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sunta Nahin Kisu Hi Ki Wo Yar Dekhna In English By Famous Poet Meerza Jawan Bakht Jahandar. Sunta Nahin Kisu Hi Ki Wo Yar Dekhna is written by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Read famous Poem Sunta Nahin Kisu Hi Ki Wo Yar Dekhna for youth and Student by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Free Download Sunta Nahin Kisu Hi Ki Wo Yar Dekhna in PDF.