Kabe Mein Jaan-ba-lab The Hum Duri-e-butan Se

kabe mein jaan-ba-lab the hum duri-e-butan se

aae hain phir ke yaro ab ke KHuda ke han se

taswir ke se tair KHamosh rahte hain hum

ji kuchh uchaT gaya hai ab nala o fughan se

jab kaundti hai bijli tab jaanib-e-gulistan

rakhti hai chheD mere KHashak-e-ashiyan se

kya KHubi us ke munh ki ai ghuncha naql kariye

tu to na bol zalim bu aati hai wahan se

aankhon hi mein rahe ho dil se nahin gae ho

hairan hun ye shoKHi aai tumhein kahan se

sabzan-e-bagh sare dekhe hue hain apne

dilchasp kahe ko hain us bewafa jawan se

ki shust-o-shobadan ki jis din bahut si un ne

dhoe the hath main ne us din hi apni jaan se

KHamoshi hi mein hum ne dekhi hai maslahat ab

har yak se haal dil ka muddat kaha zaban se

itni bhi bad-mizaji har lahza 'mir' tum ko

uljhaw hai zamin se jhagDa hai aasman se

(517) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabe Mein Jaan-ba-lab The Hum Duri-e-butan Se In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kabe Mein Jaan-ba-lab The Hum Duri-e-butan Se is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kabe Mein Jaan-ba-lab The Hum Duri-e-butan Se for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kabe Mein Jaan-ba-lab The Hum Duri-e-butan Se in PDF.