Kahan Tak Ghair Jasusi Ke Lene Ko Laga Aawe

kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe

ilahi is bala-e-na-gahan par bhi bala aawe

ruka jata hai ji andar hi andar aaj garmi se

bala se chaak hi ho jawe sina Tuk hawa aawe

tera aana hi ab markuz hai hum ko dam-e-aKHir

ye ji sadqe kiya tha phir na aawe tan mein ya aawe

ye rasm-e-amad-o-raft-e-dayar-e-ishq taza hai

hansi wo jae meri aur rona yun chala aawe

asiri ne chaman se meri dil-garmi ko dho Dala

wagarna barq ja kar aashiyan mera jala aawe

umid-e-rahm un se saKHt na-fahmi hai aashiq ki

ye but sangin-dili apni na chhoDen gar KHuda aawe

ye fann-e-ishq hai aawe use tinat mein jis ki ho

tu zahid-e-pir-e-na-baaligh hai be tah tujh ko kya aawe

hamare dil mein aane se takalluf gham ko beja hai

ye daulat-KHana hai us ka wo jab chahe chala aawe

ba-rang-e-bu-e-ghuncha umr ek hi rang mein guzre

mayassar 'mir'-sahib gar dil be-muddaa aawe

(445) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Tak Ghair Jasusi Ke Lene Ko Laga Aawe In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kahan Tak Ghair Jasusi Ke Lene Ko Laga Aawe is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kahan Tak Ghair Jasusi Ke Lene Ko Laga Aawe for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kahan Tak Ghair Jasusi Ke Lene Ko Laga Aawe in PDF.