Kahe Hai Kohkan Kar Fikr Meri KHasta-haali Mein

kahe hai kohkan kar fikr meri KHasta-haali mein

ilahi shukr karta hun teri dargah aali mein

main wo pazhmurda sabza hun ki ho kar KHak se sarzad

yakayak aa gaya us aasman ki paemali mein

tu sach kah rang pan hai ye ki KHun ishq-bazan hai

suKHan rakhte hain kitne shaKHs tere lab ki lali mein

bura kahna bhi mera KHush na aaya us ko to warna

tasalli ye dil-e-nashad hota ek gali mein

mere ustad ko firdaus-e-ala mein mile jaga

paDhaya kuchh na ghair-az-ishq mujh ko KHurd-sali mein

KHarabi ishq se rahti hai dil par aur nahin rahta

nihayat aib hai ye is dayar-e-gham ke wali mein

nigah-e-chashm pur-KHashm-e-butan par mat nazar rakhna

mila hai zahar ai dil is sharab-e-portugali mein

sharab-e-KHun bin taDpun se dil labrez rahta hai

bhare hain sang-reze main nai is mina-e-KHali mein

KHilaf un aur KHuban ke sada ye ji mein rahta hai

yahi to 'mir' ek KHubi hai mashuq-e-KHayali mein

(487) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahe Hai Kohkan Kar Fikr Meri KHasta-haali Mein In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kahe Hai Kohkan Kar Fikr Meri KHasta-haali Mein is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kahe Hai Kohkan Kar Fikr Meri KHasta-haali Mein for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kahe Hai Kohkan Kar Fikr Meri KHasta-haali Mein in PDF.