Bisat-e-ijz Mein Tha Ek Dil Yak Qatra KHun Wo Bhi

bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra KHun wo bhi

so rahta hai ba-andaz-e-chakidan sar-nigun wo bhi

rahe us shoKH se aazurda hum chande takalluf se

takalluf bartaraf tha ek andaz-e-junun wo bhi

KHayal-e-marg kab taskin dil-e-azurda ko baKHshe

mere dam-e-tamanna mein hai ek said-e-zabun wo bhi

na karta kash nala mujh ko kya malum tha hamdam

ki hoga bais-e-afzaish-e-dard-e-darun wo bhi

na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naz farmao

mere dariya-e-be-tabi mein hai ek mauj-e-KHun wo bhi

mai-e-ishrat ki KHwahish saqi-e-gardun se kya kije

liye baiTha hai ek do chaar jam-e-wazh-gun wo bhi

mere dil mein hai 'ghaalib' shauq-e-wasl o shikwa-e-hijran

KHuda wo din kare jo us se main ye bhi kahun wo bhi

mujhe malum hai jo tu ne mere haq mein socha hai

kahin ho jae jald ai gardish-e-gardun-e-dun wo bhi

nazar rahat pe meri kar na wada shab ke aane ka

ki meri KHwab-bandi ke liye hoga fusun wo bhi

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bisat-e-ijz Mein Tha Ek Dil Yak Qatra KHun Wo Bhi In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Bisat-e-ijz Mein Tha Ek Dil Yak Qatra KHun Wo Bhi is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Bisat-e-ijz Mein Tha Ek Dil Yak Qatra KHun Wo Bhi for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Bisat-e-ijz Mein Tha Ek Dil Yak Qatra KHun Wo Bhi in PDF.