Chahiye Achchhon Ko Jitna Chahiye

chahiye achchhon ko jitna chahiye

ye agar chahen to phir kya chahiye

sohbat-e-rindan se wajib hai hazar

ja-e-mai apne ko khincha chahiye

chahne ko tere kya samjha tha dil

bare ab is se bhi samjha chahiye

chaak mat kar jaib be-ayyam-e-gul

kuchh udhar ka bhi ishaara chahiye

dosti ka parda hai beganagi

munh chhupana hum se chhoDa chahiye

dushmani ne meri khoya ghair ko

kis qadar dushman hai dekha chahiye

apni ruswai mein kya chalti hai sai

yar hi hangama-ara chahiye

munhasir marne pe ho jis ki umid

na-umidi us ki dekha chahiye

ghafil in mah-talaton ke waste

chahne wala bhi achchha chahiye

chahte hain KHub-ruyon ko 'asad'

aap ki surat to dekha chahiye

(1327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahiye Achchhon Ko Jitna Chahiye In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Chahiye Achchhon Ko Jitna Chahiye is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Chahiye Achchhon Ko Jitna Chahiye for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Chahiye Achchhon Ko Jitna Chahiye in PDF.