Chashm-e-KHuban KHamushi Mein Bhi Nawa-pardaz Hai

chashm-e-KHuban KHamushi mein bhi nawa-pardaz hai

surma to kahwe ki dud-e-shola-e-awaz hai

paikar-e-ushshaq saz-e-tala-e-na-saz hai

nala goya gardish-e-saiyyara ki aawaz hai

dast-gah-e-dida-e-KHun-bar-e-majnun dekhna

yak-bayaban jalwa-e-gul farsh-e-pa-andaz hai

chashm-e-KHuban mai-farosh-e-nashshah-zar-e-naz hai

surma goya mauj-e-dud-e-shola-e-awaz hai

hai sarir-e-KHama rezish-ha-e-istiqbaal-e-naz

nama KHud paigham ko baal-o-par-e-parwaz hai

sar-nawisht-e-iztirab-anjami-e-ulfat na puchh

nal-e-KHama KHar-KHar-e-KHatir-e-aghaz hai

shoKHi-e-izhaar ghair-az-wahshat-e-majnun nahin

laila-e-mani 'asad' mahmil-nashin-e-raaz hai

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-KHuban KHamushi Mein Bhi Nawa-pardaz Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Chashm-e-KHuban KHamushi Mein Bhi Nawa-pardaz Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Chashm-e-KHuban KHamushi Mein Bhi Nawa-pardaz Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Chashm-e-KHuban KHamushi Mein Bhi Nawa-pardaz Hai in PDF.