Dahr Mein Naqsh-e-wafa Wajh-e-tasalli Na Hua
dahr mein naqsh-e-wafa wajh-e-tasalli na hua
hai ye wo lafz ki sharminda-e-mani na hua
sabza-e-KHat se tera kakul-e-sarkash na daba
ye zamurrad bhi harif-e-dam-e-afi na hua
main ne chaha tha ki andoh-e-wafa se chhuTun
wo sitamgar mere marne pe bhi raazi na hua
dil guzargah-e-KHayal-e-mai-o-saghar hi sahi
gar nafas jada-e-sar-manzil-e-taqwi na hua
hun tere wada na karne mein bhi raazi ki kabhi
gosh minnat-kash-e-gulbang-e-tasalli na hua
kis se mahrumi-e-qismat ki shikayat kije
hum ne chaha tha ki mar jaen so wo bhi na hua
mar gaya sadma-e-yak-jumbish-e-lab se 'ghaalib'
na-tawani se harif-e-dam-e-isi na hua
na hui hum se raqam hairat-e-KHatt-e-ruKH-e-yar
safha-eaina jaulan-gah-e-tuti na hua
wusat-e-rahmat-e-haq dekh ki baKHsha jawe
mujh sa kafir ki jo mamnun-e-maasi na hua
(1221) Peoples Rate This