Daim PaDa Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main

daim paDa hua tere dar par nahin hun main

KHak aisi zindagi pe ki patthar nahin hun main

kyun gardish-e-mudam se ghabra na jae dil

insan hun piyala o saghar nahin hun main

ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye

lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin hun main

had chahiye saza mein uqubat ke waste

aaKHir gunahgar hun kafar nahin hun main

kis waste aziz nahin jaante mujhe

lal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun main

rakhte ho tum qadam meri aankhon se kyun daregh

rutbe mein mahr-o-mah se kam-tar nahin hun main

karte ho mujh ko mana-e-qadam-bos kis liye

kya aasman ke bhi barabar nahin hun main

'ghaalib' wazifa-KHwar ho do shah ko dua

wo din gae ki kahte the naukar nahin hun main

(1144) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daim PaDa Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Daim PaDa Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Daim PaDa Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Daim PaDa Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main in PDF.