Raftar-e-umr Qat-e-rah-e-iztirab Hai

raftar-e-umr qat-e-rah-e-iztirab hai

is sal ke hisab ko barq aaftab hai

mina-e-mai hai sarw nashat-e-bahaar se

baal-e-tadrraw jalwa-e-mauj-e-sharab hai

zaKHmi hua hai pashna pa-e-sabaat ka

ne bhagne ki gun na iqamat ki tab hai

jadad-e-baada-noshi-e-rindan hai shash-jihat

ghafil guman kare hai ki giti KHarab hai

nazzara kya harif ho us barq-e-husn ka

josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqab hai

main na-murad dil ki tasalli ko kya karun

mana ki tere ruKH se nigah kaamyab hai

guzra 'asad' masarrat-e-paigham-e-yar se

qasid pe mujh ko rashk-e-sawal-o-jawab hai

zahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki gharaz

jo dana dam mein hai so ashk-e-kabab hai

be-chashm-e-dil na kar hawas-e-sair-e-lala-zar

yani ye har waraq waraq-e-intiKHab hai

(1313) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raftar-e-umr Qat-e-rah-e-iztirab Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Raftar-e-umr Qat-e-rah-e-iztirab Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Raftar-e-umr Qat-e-rah-e-iztirab Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Raftar-e-umr Qat-e-rah-e-iztirab Hai in PDF.