Raha Gar Koi Ta-qayamat Salamat

raha gar koi ta-qayamat salamat

phir ek roz marna hai hazrat salamat!

jigar ko mere ishq-e-KHun-naba-mashrab

likhe hai KHudawand-e-nemat salamat

alarraghm-e-dushamn shahid-e-wafa hun

mubarak mubarak salamat salamat

nahin gar sar-o-barg-e-idrak-e-mani

tamasha-e-nairang-e-surat salamat

do-alam ki hasti pe KHatt-e-fana khinch

dil-o-dast-e-arbab-e-himmat salamat

nahin gar ba-kaam-e-dil-e-KHasta gardun

jigar-KHai-e-josh-e-hasrat salamat

na auron ki sunta na kahta hun apni

sar-e-KHasta dushwar-e-wahshat salamat

wafur-e-bala hai hujum-e-wafa hai

salamat malamat malamat salamat

na fikr-e-salamat na bim-e-malamat

ze-KHud-raftagi-ha-e-hairat salamat

rahe 'ghaalib'-e-KHasta maghlub-e-gardun

ye kya be-niyazi hai hazrat salamat

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raha Gar Koi Ta-qayamat Salamat In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Raha Gar Koi Ta-qayamat Salamat is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Raha Gar Koi Ta-qayamat Salamat for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Raha Gar Koi Ta-qayamat Salamat in PDF.