Wo Aa Ke KHwab Mein Taskin-e-iztirab To De

wo aa ke KHwab mein taskin-e-iztirab to de

wale mujhe tapish-e-dil majal-e-KHwab to de

kare hai qatl lagawaT mein tera ro dena

teri tarah koi tegh-e-nigah ko aab to de

dikha ke jumbish-e-lab hi tamam kar hum ko

na de jo bosa to munh se kahin jawab to de

pila de ok se saqi jo hum se nafrat hai

piyala gar nahin deta na de sharab to de

'asad' KHushi se mere hath panw phul gae

kaha jo us ne zara mere panw dab to de

ye kaun kahwe hai aabaad kar hamein lekin

kabhi zamana murad-e-dil-e-KHarab to de

(1648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aa Ke KHwab Mein Taskin-e-iztirab To De In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Wo Aa Ke KHwab Mein Taskin-e-iztirab To De is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Wo Aa Ke KHwab Mein Taskin-e-iztirab To De for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Wo Aa Ke KHwab Mein Taskin-e-iztirab To De in PDF.