Wo Firaq Aur Wo Visal Kahan
wo firaq aur wo visal kahan
wo shab-o-roz o mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
dil to dil wo dimagh bhi na raha
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHal kahan
thi wo ek shaKHs ke tasawwur se
ab wo ranai-e-KHayal kahan
aisa aasan nahin lahu rona
dil mein taqat jigar mein haal kahan
hum se chhuTa qimar-KHana-e-ishq
wan jo jawen girah mein mal kahan
fikr-e-duniya mein sar khapata hun
main kahan aur ye wabaal kahan
muzmahil ho gae qawa ghaalib
wo anasir mein e'tidal kahan
bose mein wo muzaiqa na kare
par mujhe taqat-e-sawal kahan
falak-e-sifla be-muhaba hai
is sitam-gar ko infial kahan
(2986) Peoples Rate This