Wo Meri Chin-e-jabin Se Gham-e-pinhan Samjha

wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha

raaz-e-maktub ba-be-rabti-e-unwan samjha

yak alif besh nahin saiqal-e-aina hanuz

chaak karta hun main jab se ki gareban samjha

sharh-e-asbab-e-giriftari-e-KHatir mat puchh

is qadar tang hua dil ki main zindan samjha

bad-gumani ne na chaha use sargarm-e-KHiram

ruKH pe har qatra araq dida-e-hairan samjha

ijz se apne ye jaana ki wo bad-KHu hoga

nabz-e-KHas se tapish-e-shola-e-sozan samjha

safar-e-ishq mein ki zoaf ne rahat-talabi

har qadam sae ko main apne shabistan samjha

tha gurezan mizha-e-yar se dil ta dam-e-marg

daf-e-paikan-e-qaza is qadar aasan samjha

dil diya jaan ke kyun us ko wafadar 'asad'

ghalati ki ki jo kafir ko musalman samjha

hum ne wahshat-kada-e-bazm-e-jahan mein jun shama

shoala-e-ishq ko apna sar-o-saman samjha

(1376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Meri Chin-e-jabin Se Gham-e-pinhan Samjha In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Wo Meri Chin-e-jabin Se Gham-e-pinhan Samjha is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Wo Meri Chin-e-jabin Se Gham-e-pinhan Samjha for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Wo Meri Chin-e-jabin Se Gham-e-pinhan Samjha in PDF.