Jawani Ki Haalat Guzar Jaegi

jawani ki haalat guzar jaegi

chaDhi hai jo sar par utar jaegi

jidhar ko meri chashm-e-tar jaegi

udhar kaam dariya ka kar jaegi

zamane ki iza ka shikwa na kar

guzarte guzarte guzar jaegi

khulega tujhe ishq-bazi ka haal

ye hirs-e-hawa jabki mar jaegi

mere jism-e-KHaki se ho ke juda

ye ruh-e-rawan phir kidhar jaegi

mere naghmon se andalib-e-chaman

kahan uD ke tu musht-e-par jaegi

tawajjoh teri o but-e-bewafa

mera kaam aaKHir ko kar jaegi

bahaar-e-chaman jabki hogi KHizan

meri wahshat-e-dil kidhar jaegi

agar jazba-e-dil pe qabu raha

shab-e-wasl ki phir Thahar jaegi

khinchi hai jo tegh-e-mohabbat dila

yahi ek din tere sar jaegi

chaDhi hogi kachche ghaDe ki jise

utarte utarte utar jaegi

qimar-e-mohabbat mein gar aah ki

ye jiti hui bazi har jaegi

meri marg aisi hai ai 'muntahi'

ki jis ki adam tak KHabar jaegi

(537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawani Ki Haalat Guzar Jaegi In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Jawani Ki Haalat Guzar Jaegi is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Jawani Ki Haalat Guzar Jaegi for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Jawani Ki Haalat Guzar Jaegi in PDF.