Kali Jo Gul Ki ChaTak Rahi Hai Tabiat Apni KhaTak Rahi Hai

kali jo gul ki chaTak rahi hai tabiat apni khaTak rahi hai

jahan mein wahshat bhaTak rahi hai hazar sar ko paTak rahi hai

chaman mein hai jo ki shaKH-e-sumbul urus-e-gul ki wo ya hai kakul

tujhe KHabar hai kuchh us ki bulbul jo us ke munh par laTak rahi hai

wahan mujhe shauq-e-dil tu le ja jahan na saghar na hoe mina

ba-rang-e-saqi har ek baiTha sharab-e-KHalis Tapak rahi hai

chaman mein bulbul yahi pukari lo mai-kashon ki phir aai bari

zaban pe shishe ke hai ye jari sharab lo yan Dhalak rahi hai

kahin pe majma hai mai-kashon ka kahin akhaDa hai un buton ka

kahin barasna hai baadalon ka kahin pe bijli chamak rahi hai

mizha ki ulfat mein zar ban kar raha hun mu-e-nigar ban kar

ye sans sine mein KHar ban kar jigar ke andar khaTak rahi hai

na us mein aai zara kudurat gulon ki maili na siyahat

saba chaman mein pae latafat gulon ke jame chhiTak rahi hai

nahin bagula miyan-e-hamun jo mujh se puchho to saf kah dun

talash-e-laila mein ruh-e-majnun har ek jaanib bhaTak rahi hai

ghurur-e-husn ai nigar kab tak chaman ke upar bahaar kab tak

rahoge zeb-e-kanar kab tak KHizan har ek gul ko tak rahi hai

jahan na bhaTTi na mai-kada hai ajab tarah ka magar saman hai

KHum-e-falak mein ye kya bhara hai sharab-e-safi Tapak rahi hai

kahun main fiqara wo hai hansi ka charagh-e-mahfil ka hai falita

chhuTa jo shamla hai shaiKH ji ka ye un ki sheKHi laTak rahi hai

bahaar laya hai saghar-e-gul bhare hain goya piyala-e-mul

nahin hai mahfil mein shor-e-qulqul chaman mein bulbul chahak rahi hai

laDai kis ne hai aankh upar nigah us ki hai misl-e-KHanjar

main dekhta hun ki chashm-e-aKHtar falak ke upar jhapak rahi hai

hamare dil mein nahin hai kina ki jaise be-jurm ho nagina

ye bahr-e-hasti ka hai safina isi pe duniya phaDak rahi hai

bahaar hai daur-e-mai-kashi ki gulon ki rangat abhi hai phiki

ajib haalat hai 'muntahi' ki abhi se chhati dhaDak rahi hai

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kali Jo Gul Ki ChaTak Rahi Hai Tabiat Apni KhaTak Rahi Hai In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Kali Jo Gul Ki ChaTak Rahi Hai Tabiat Apni KhaTak Rahi Hai is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Kali Jo Gul Ki ChaTak Rahi Hai Tabiat Apni KhaTak Rahi Hai for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Kali Jo Gul Ki ChaTak Rahi Hai Tabiat Apni KhaTak Rahi Hai in PDF.