Subh-dam UTh Kar Tera Pahlu Se Jaana Yaad Hai

subh-dam uTh kar tera pahlu se jaana yaad hai

loTna dil ka jigar ka phaDphaDana yaad hai

yar tha pahlu mein shishe ki pari thi samne

kyun dil-e-nalan tujhe wo bhi zamana yaad hai

sun ke ahwal-e-mohabbat ko mera bola wo shoKH

jaan dene ka tujhe achchha bahana yaad hai

loT tha dil qamat-e-dildar par muddat hui

naKHl-e-tuba par tha apna aashiyana yaad hai

kaun dekhe KHanda-e-gul ki taraf ai andalib

ek muddat se kisi ka muskurana yaad hai

kya dikhata hai falak abr-e-siyah mein ru-e-mah

hum ko baalon mein kisi ka munh chhupana yaad hai

ho muqabil nala-e-dard-e-dil-e-ushshaq ke

baghban bulbul ko aisa bhi tarana yaad hai

hijr ki shab nind aae aashiq-e-bimar ko

'muntahi' tujh ko koi aisa fasana yaad hai

(551) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh-dam UTh Kar Tera Pahlu Se Jaana Yaad Hai In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Subh-dam UTh Kar Tera Pahlu Se Jaana Yaad Hai is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Subh-dam UTh Kar Tera Pahlu Se Jaana Yaad Hai for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Subh-dam UTh Kar Tera Pahlu Se Jaana Yaad Hai in PDF.