Sar-sar Gesu Hila Rahi Hai

sar-sar gesu hila rahi hai

sar par kale khila rahi hai

furqat mein KHun rula rahi hai

taqdir ye rang la rahi hai

daghon se dil jala rahi hai

ulfat sikke biTha rahi hai

daman mein hai tere bu-e-kakul

kyun mujh ko saba uDa rahi hai

haal-e-tap-e-hijr kuchh na puchho

dil kha chuki jaan kha rahi hai

jheli hui hai jafa tabiat

barson hi mubtala rahi hai

kisra mahal na taq-e-jam hai

ai dil kis ki sada rahi hai

marta hai dil buton ke upar

taqdir pahaD Dha rahi hai

tifli-o-jawani KHub guzri

do din achchhi hawa rahi hai

uDti hai KHak us jagah par

barson jis ja faza rahi hai

ye bint-e-inab bahaar-e-gul mein

yaron ki bhi aashna rahi hai

lati nahin bu-e-yar nighat

us dil ki lagi bujha rahi hai

hum bhi the kabhi jawan raana

apni bhi kabhi hawa rahi hai

khulta nahin haal gul ka bulbul

shabnam pani chua rahi hai

ye fasl-e-bahaar be-KHudi ka

rasta hum ko bata rahi hai

gulshan mein urus-e-gul ke upar

shabnam moti luTa rahi hai

phule nahin gul chaman ke andar

wahshat aankhen dikha rahi hai

fiqre se le aae us sanam ko

kyun 'muntahi' baat kya rahi hai

(493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-sar Gesu Hila Rahi Hai In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Sar-sar Gesu Hila Rahi Hai is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Sar-sar Gesu Hila Rahi Hai for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Sar-sar Gesu Hila Rahi Hai in PDF.