Rah Gae Ashkon Mein LaKHt-e-jigar Aate Aate

rah gae ashkon mein laKHt-e-jigar aate aate

ruk gae bahr se lal-o-gohar aate aate

tham gae qatra-e-KHun-e-jigar aate aate

ruk gae mujmar-e-dil se sharar aate aate

hote hote na hua misra-e-rangin mauzun

band kyun ho gaya KHun-e-jigar aate aate

tham gae ashk mere aankh se Dhalte Dhalte

rah gae chashm-e-sadaf se guhar aate aate

rah gaya kahne pe ghammazon ke sun sun ke meri

phir gaya yar mera rah par aate aate

de diya naqd-e-dil us but ko baghair az jaane

ho gaya rah mein kaisa zarar aate aate

dekhte dekhte dekhenge mere jauhar-e-taba

aaenge aaenge ahl-e-nazar aate aate

kya bhara zang-e-kudurat se ye aaina-dil

jo nazar aae na wo phir nazar aate aate

gardish-e-chashm ne kis ko tah-o-baala na kiya

ho gae zer-o-zabar rah par aate aate

ashk-e-KHuni nahin aate hain jo aankhon se teri

kyun ruki 'muntahi' dil ki KHabar aate aate

(592) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Gae Ashkon Mein LaKHt-e-jigar Aate Aate In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Rah Gae Ashkon Mein LaKHt-e-jigar Aate Aate is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Rah Gae Ashkon Mein LaKHt-e-jigar Aate Aate for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Rah Gae Ashkon Mein LaKHt-e-jigar Aate Aate in PDF.