Mumkin Mujhe Jo Ho Be-riya Ho

mumkin mujhe jo ho be-riya ho

masnad ho ki is mein boriya ho

jab qabil-e-did dil-ruba ho

allah kare ki ba-wafa ho

bheja nahin KHat-e-shauq kab se

malum hua ki tum KHafa ho

be-tabi-e-dil agar dikhaun

koi na kisi ka mubtala ho

marta hai zar pe ahl-e-duniya

namard ko kab KHwahish-e-tila ho

miTTi kar de jo aap ko to

nazron mein KHak kimiya ho

aai hai fasl-e-gul chaman mein

ai hosh-o-KHirad chalo hawa ho

kya mujhe dar-ba-dar phiraya

ai KHwahish-e-dil tera bura ho

dikhlai tu ne yar ki shakl

ai jazba-e-dil tera bhala ho

lipTo mujhe aa ke hijr ki shab

ai gesu-e-yar agar bala ho

ai 'muntahi' bazm-e-yar ka haal

kya jaaniye baad mere kya ho

(573) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mumkin Mujhe Jo Ho Be-riya Ho In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Mumkin Mujhe Jo Ho Be-riya Ho is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Mumkin Mujhe Jo Ho Be-riya Ho for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Mumkin Mujhe Jo Ho Be-riya Ho in PDF.