Duniya Mein Yahi Chor Banata Hai Asas Ko

duniya mein yahi chor banata hai asas ko

allah kare qata kahin dast-e-hawas ko

dil deta hun main qamat-e-dil-dar ko apna

laTkata hun main naKHl-e-mohabbat mein qafas ko

jaisa ki ye dil dam-e-mohabbat mein phansa hai

kam dekhta hun murgh-e-giraftar-e-qafas ko

nikle hain KHat-o-KHal lab-e-yar ke nazdik

allah ne diya shahd-o-shakar mor-o-magas ko

dauDati hai ye ruh meri jism ko har-su

aswar uData hai zamane mein faras ko

zaKHm-e-dil-e-shaida hua achchha na masiha

KHayyat-e-azal sil na saka chaak-e-qafas ko

rahte the ham-aghosh jawani mein buton se

is piri ke aate hi tarasne lage mas ko

kab pech se is rishtha-e-ulfat ke chhutunga

toDunga na jab tak ki main is tar-e-nafas ko

bimari-e-ulfat se jo main bach gaya naseh

Tal jaunga ab ki kahin do-chaar baras ko

daman ka nishan hai na gareban ka pata hai

ai dast-e-junun manta hun main tere bas ko

sayyaad jo dekhe mujhe ulfat ki nazar se

gulzar se behtar kahin samjhun main qafas ko

ai dil kabhi kahne ka nahin raaz-e-mohabbat

is dasht mein dauDa na tabiat ke faras ko

dil deta hai us tifl-e-pari-zad ko nadan

kyun 'muntahi' shoale se bhiData hai tu KHas ko

(526) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Yahi Chor Banata Hai Asas Ko In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Duniya Mein Yahi Chor Banata Hai Asas Ko is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Duniya Mein Yahi Chor Banata Hai Asas Ko for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Duniya Mein Yahi Chor Banata Hai Asas Ko in PDF.