Ye Jis Ne Jaan Di Hai Nan Dega

ye jis ne jaan di hai nan dega

diya hai jis ne sar saman dega

mizha se us kaman-abru ki bachna

wo nawak hai kaleja chhan dega

mashaqqat se wo de ya be-mashaqqat

ba-har-surat ba-har-unwan dega

wo bosa de ke dil le kar ye bole

ewaz ehsan ka kya insan dega

milega qadr-dan-e-ishq hum ko

KHuda mashuq baiman dega

sunenge tab butan-e-hind apni

ijazat jab unhen shaitan dega

fasana kohkan ka sun ke bole

jo aashiq hoga wo hi jaan dega

na thi ummid tujh se qasim baKHt

dil-e-pur-dard o pur-arman dega

rah-e-ulfat ka hun kar-azmuda

kisi ko dil koi anjaan dega

chalega tir jab apni dua ka

kaleje dushmanon ke chhan dega

muqaddar se zyaada ek luqma

gada kya lega kya sultan dega

lipaT jaunga un se roz-e-waslat

agar mujh ko KHuda ausan dega

na phaila 'muntahi' dast-e-hawas ko

wagarna ye tujhe nuqsan dega

(601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jis Ne Jaan Di Hai Nan Dega In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Ye Jis Ne Jaan Di Hai Nan Dega is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Ye Jis Ne Jaan Di Hai Nan Dega for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Ye Jis Ne Jaan Di Hai Nan Dega in PDF.