Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein

dair-o-haram ko chhoD ke ai dil chal baiTho maiKHane mein

KHub guzar jaegi apni saqi se yarane mein

sair tabiat ho jaegi nasha jo hai howega wahi

farq nahin hai saqi hargiz chullu mein paimane mein

ruh hai jab tak jism ke andar jism pe mere raunaq hai

kashana aabaad hai jab tak bulbul hai kashane mein

dast-e-tamanna qata hua barbaad hui hai hirs-o-hawa

zist ki surat apni bandhi ai nafs tere mar jaane mein

sach hai dil ko apne bhi juz yaad sanam kuchh dhyan nahin

dekh to ai naseh kaisi hushyari hai diwane mein

fikr-e-duniya se hain chhuTe is ranj-e-jahan se pai najat

lakh tarah ki rahat pai ek apne mar jaane mein

pesh-e-junun-e-baKHta ai dil maut to zist se KHush-tar hai

shama ke aage raqs-kunan tha parwana jal jaane mein

husn-e-nairang us mah-ru ka dil-e-hazin mein rahta hai

chashm-e-bina ho to dekhe basti hai virane mein

naqsh-e-mohabbat kahin na paya lauh-e-dil par insan ke

phira qalam ki surat se main barson ek ek KHane mein

(508) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein in PDF.