Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai

husn ki dil mein mere jalwagari rahti hai

band is shisha-e-nazuk mein pari rahti hai

dil wahan khulta hai jis ja ki rahe jam-e-sharab

dana wan ugta hai jis ja ki tari rahti hai

tifli-o-ahd-e-jawani ka na puchho ahwal

be-KHudi aage thi ab be-KHabari rahti hai

bagh-e-alam mein nahin dast-e-karam ko hai zawal

shaKH ye wo hai jo ta-hashr hari rahti hai

yaad mein jam-o-surahi ke tere ai saqi

dil bhara rahta hai aankhon mein tari rahti hai

mai-o-mashuq se daulat se bahaar-e-gul mein

chakkhiyan rahti hai hain yaron ki chari rahti hai

har ghaDi rahta hai KHayal-e-ruKH-e-mahbub ka dhyan

aaj-kal samne kotah-nazari rahti hai

bhiD si bhiD lagi rahti hai kuche mein tere

jins ulfat ki magar wahan pe khari rahti hai

naqd-e-dil lete ho har ek ka be-bos-o-kanar

aap ke dhyan mein kya muft-bari rahti hai

hath pakDa hai mera dast-e-junun ne jab se

har ghaDi madd-e-nazar jama-dari rahti hai

baal khole nahin phirta hai agar wo saffak

phir kaho kyun mujhe aashufta-sari rahti hai

rind wan baste hain jis ja ho KHum-o-KHum-KHana

sher wan rahte hain jis ja ki tari rahti hai

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai in PDF.