Hamesha Sair-e-gul-o-lala-zar Baqi Hai

hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai

agar baghal mein dil-e-dagh-dar baqi hai

tufail-e-ruh mera jism-e-zar baqi hai

hawa ke dam se ye musht-e-ghubar baqi hai

baghair ruh-e-rawan jism-e-zar baqi hai

nikal gai hai sawari ghubar baqi hai

bahaar mein tujhe nale sunaunga bulbul

agar ye zindagi-e-mustaar baqi hai

kahunga yar se ek rose hath phaila ke

mujhe bhi hasrat-e-bos-o-kanar baqi hai

jahan ko chashm-e-haqiqat se dekh o ghafil

khuli hai aankh abhi iKHtiyar baqi hai

ummid hai hamein farda ho ya pas-farda

zarur hoegi sohbat wo yar baqi hai

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamesha Sair-e-gul-o-lala-zar Baqi Hai In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Hamesha Sair-e-gul-o-lala-zar Baqi Hai is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Hamesha Sair-e-gul-o-lala-zar Baqi Hai for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Hamesha Sair-e-gul-o-lala-zar Baqi Hai in PDF.