Fughan-o-ah Hai Har-dam Pukar Rakhta Hai

fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai

ghazab mein jaan dil-e-be-qarar rakhta hai

gul-e-chaman na dur-e-shahwar rakhta hai

bhara bhara jo badan mera yar rakhta hai

latif ruh ki manind jism hai kis ka

piyaada kaun waqar-e-sawar rakhta hai

juda juda hai hasinan-e-dahr ka andaz

har ek tarah ki har gul bahaar rakhta hai

fareb-e-husn se allah aadmi ko bacha

chale ye pech to rustam ko mar rakhta hai

kamal-e-ishq ko pata hun KHaksari mein

taraf nasheb ke dariya guzar rakhta hai

bahaar aai hai bint-ul-inab pe joban hai

girah mein dam koi baada-KHwar rakhta hai

suna hai jab se ki hain dafan us mein aashiq-e-zar

qadam zamin pe nahin wo nigar rakhta hai

har ek shisha-e-saat falak ko kahta hai

ki 'muntahi' se sarasar ghubar rakhta hai

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fughan-o-ah Hai Har-dam Pukar Rakhta Hai In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Fughan-o-ah Hai Har-dam Pukar Rakhta Hai is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Fughan-o-ah Hai Har-dam Pukar Rakhta Hai for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Fughan-o-ah Hai Har-dam Pukar Rakhta Hai in PDF.