Yaad Hai Roz-e-azal Usne Kaha Kya Kya Kuchh

yaad hai roz-e-azal us ne kaha kya kya kuchh

bar-KHilaf is ke yahan tu ne kiya kya kya kuchh

hur di KHuld diya qasr diya rahne ko

mujh gunahgar ko KHaliq ne diya kya kya kuchh

sal-ha-sal bahaar-e-chaman-e-alam ne

rang dikhlae hain hum ko ba-KHuda kya kya kuchh

gah KHizan aai gulistan mein kabhi baad-e-bahaar

samne aankhon ke bande ke hua kya kya kuchh

tohmat-e-jurm-o-jafa hirs-o-hawa ghaflat-e-dil

hum ne bazar se hasti ke liya kya kya kuchh

aasman mehr-e-falak ru-e-zamin arsh-e-barin

peshtar is se KHuda jaane hua kya kya kuchh

bab-e-firduas o dar-e-rauza-e-rizwan zahid

band in aankhon ke hote hi khula kya kya kuchh

naza ke waqt main puchhunga kisi munim se

sath kya apne liya aur raha kya kya kuchh

waqt-e-dil jaane ke hargiz na KHabar-dar kiya

ab samjhati hai ye fikr-e-rasa kya kya kuchh

shiddat-e-ranj-o-alam sadma-e-dil soz-e-jigar

furqat-e-yar mein mujh par na hua kya kya kuchh

dair ko puja haram ko kiye gahe sajde

kar liya zist mein beja-o-baja kya kya kuchh

jo talafi na ho mahshar mein ajab hai us ka

KHud hain maqul ki yan hum ne kiya kya kya kuchh

gosh par jam ke munh raat ko rakh kar apna

kis ko malum hai shishe ne kaha kya kya kuchh

dagh-e-dil KHun-e-jigar aatish-e-gham dard-e-firaq

hum ko bhi ishq ki daulat se mila kya kya kuchh

'muntahi' zor-e-badan quwwat-e-dil chaalaki

ek aane se zaifi ke gaya kya kya kuchh

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Hai Roz-e-azal Usne Kaha Kya Kya Kuchh In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Yaad Hai Roz-e-azal Usne Kaha Kya Kya Kuchh is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Yaad Hai Roz-e-azal Usne Kaha Kya Kya Kuchh for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Yaad Hai Roz-e-azal Usne Kaha Kya Kya Kuchh in PDF.