Karte Hain Chain BaiThe Husn-o-jamal Wale

karte hain chain baiThe husn-o-jamal wale

phirte hain mare mare kya kya kamal wale

meri tarah se ek din bazar se jahan ke

jawenge hath KHali jitne hain tal wale

dam de ke phansta hai ushshaq ke dinon ko

main jaanta hun tujh ko zulfon ke jal wale

mahshar ka marka ho jis dam jahan ke andar

us din hamein bachana o lambi Dhaal wale

bulbul hain tere hum bhi bagh-e-jahan ke andar

o gul se gal wale sumbul se baal wale

tanha lahad ke andar honge gada ki surat

jitne hain is jahan mein jah-o-jalal wale

zulf-e-shab-e-judai teri buri bala hai

is ka KHayal rakhna o lambe baal wale

aashiq hain hum bhi tere abru ke aur ruKH ke

hum ko bhi yaad rakhna badr-o-hilal wale

bhule hain do-jahan ko sud-bud nahin kisi ki

jo jo hain is jahan mein tere KHayal wale

sayyaad ne bichhaya gulshan mein dam-o-dana

sun gul-ezar wale o KHatt-o-KHal wale

meri tarah se ek din bazar se jahan ke

jaenge hath KHali jitne hain mal wale

mansur-o-qais-o-wamiq farhad-o-'muntahi' se

kya kya gae jahan se fazl-o-kamal wale

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karte Hain Chain BaiThe Husn-o-jamal Wale In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Karte Hain Chain BaiThe Husn-o-jamal Wale is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Karte Hain Chain BaiThe Husn-o-jamal Wale for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Karte Hain Chain BaiThe Husn-o-jamal Wale in PDF.