Nafs-e-sag-e-palid Ko Gar Apne Mariye

nafs-e-sag-e-palid ko gar apne mariye

manind-e-sher dasht-e-jahan mein Dakariye

us gul ko josh-e-gul mein ye kah kar ubhaariye

gulshan mein andalib ko chal kar pukariye

phir murgh-e-dil ko phansiye phir jal mariye

phir ho sake to aap se gesu sanwariye

piri mein kaif-e-ishq se tauba to kijiye

manzil rahi hai thoDi si himmat na haariye

girdab-e-bahr-e-ishq ke chakkar hain raat din

kaun aashna-e-haal hai kis ko pukariye

dil de ke jaur-o-zulm ka shikwa na kijiye

do din ki zindagi kisi Dhab se guzariye

ahl-e-hawas ki dahr mein miTTi KHarab hai

galiyon mein KHak chhan rahi hain niyariye

manind-e-zulf ghair ko kyun sar chaDhaiye

aankhon se shakl-e-ashk ke is ko utariye

paida karen asar jo dur-e-ashk naseho

un motiyon pe hans ko sau bar wariye

juz mere dal aap ki galti nahin kahin

yun munh se jitni chahiye sheKHi baghaariye

nala jo zer-e-tegh kiya main ne jis ghaDi

bole ki ek dam ke liye dam na mariye

tauba sharab-e-ishq se kis tarah kijiye

kyunkar ye jin chaDha hua sar se utariye

kya kya na dost apne miyan-e-adam gae

kis ko talash kijiye kis ko pukariye

us but ke bahr-e-husn mein dil ko Duboiye

is kashti-e-hayat ko yun par utariye

manzur ho jo rahat-e-kaunain 'muntahi'

hathon ko khich lijiye panw pasariye

(535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nafs-e-sag-e-palid Ko Gar Apne Mariye In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Nafs-e-sag-e-palid Ko Gar Apne Mariye is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Nafs-e-sag-e-palid Ko Gar Apne Mariye for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Nafs-e-sag-e-palid Ko Gar Apne Mariye in PDF.