Baaten Hain Waizon Ki Azab O Sawab Kya

baaten hain waizon ki azab o sawab kya

do din ki zindagi mein hisab-o-kitab kya

chahi wafa-e-wada to paya jawab kya

han kahiye to ye aap ne dekha hai KHwab kya

dil mein ghazab ke josh hain tauba ki KHair ho

karti hai dekhiye ye shab-e-mahtab kya

ye sab sahi ki zalzala hai ta-falak magar

shoKHi to apni dekh mera iztirab kya

us ne to jo likhkha so likha par ghazab ye hai

ek ek puchhta hai ki aaya jawab kya

achchha guman o wahm hamare ghalat sahi

kahiye to kahti hai nigah-e-pur-hijab kya

ai ham-nashin bhala wo agar sun ke haal-e-dil

kah den ki sab ghalat hai phir is ka jawab kya

karte hain log waiz o 'mail' pe tan kyun

pita nahin jahan mein koi sharab kya

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baaten Hain Waizon Ki Azab O Sawab Kya In English By Famous Poet Mirza Mayal Dehlvi. Baaten Hain Waizon Ki Azab O Sawab Kya is written by Mirza Mayal Dehlvi. Read famous Poem Baaten Hain Waizon Ki Azab O Sawab Kya for youth and Student by Mirza Mayal Dehlvi. Free Download Baaten Hain Waizon Ki Azab O Sawab Kya in PDF.