Kis Munh Se Karun Main Tan-e-uryan Ki Shikayat

kis munh se karun main tan-e-uryan ki shikayat

daman ki shikayat na gareban ki shikayat

kaisa hi khaTakta rahe dil mein mere paikan

mujh se to na hogi kabhi mehman ki shikayat

itna bhi taghaful nahin achchha kahin tum ko

karni na paDe shorish-e-pinhan ki shikayat

allah rakhe mere tasawwur ko salamat

tujh ko to nahin hai shab-e-hijran ki shikayat

hon lang magar waqif-e-adab-e-junun hun

main kufr samajhta hun bayaban ki shikayat

kahti hai teri chashm ki gardish mere hote

koi na kare gardish-e-dauran ki shikayat

jate to ho kabe ko KHuda ke liye 'mail'

karna na kisi dushman-e-iman ki shikayat

(599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Munh Se Karun Main Tan-e-uryan Ki Shikayat In English By Famous Poet Mirza Mayal Dehlvi. Kis Munh Se Karun Main Tan-e-uryan Ki Shikayat is written by Mirza Mayal Dehlvi. Read famous Poem Kis Munh Se Karun Main Tan-e-uryan Ki Shikayat for youth and Student by Mirza Mayal Dehlvi. Free Download Kis Munh Se Karun Main Tan-e-uryan Ki Shikayat in PDF.