Phir Aa Gai Ek But Pe Tabiat Ko Hua Kya

phir aa gai ek but pe tabiat ko hua kya

Talti hi nahin sar se musibat ko hua kya

mahrum phir aaya dar-e-mai-KHana se waiz

rindan-e-qadah-KHwar ki himmat ko hua kya

maqbul-e-dua ho na asar aah-o-fughan mein

is daur mein tasir-e-mohabbat ko hua kya

is husn-o-latafat pe kya sang-dil aisa

hairat mein hun allah ki hikmat ko hua kya

jage to koi anjuman-e-ghair mein shab bhar

aur chhai mere munh pe nadamat ko hua kya

danista naqab ulTe hue hain sar-e-bazar

aur us pe ye kahte hain ki KHilqat ko hua kya

lo hum to chale kausar o tasnim pe zahid

tum yunhi kahe jao ki rahmat ko hua kya

'mail' nahin kya aur zamane mein ilahi

mujh par hi utarti hai ye aafat ko hua kya

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Aa Gai Ek But Pe Tabiat Ko Hua Kya In English By Famous Poet Mirza Mayal Dehlvi. Phir Aa Gai Ek But Pe Tabiat Ko Hua Kya is written by Mirza Mayal Dehlvi. Read famous Poem Phir Aa Gai Ek But Pe Tabiat Ko Hua Kya for youth and Student by Mirza Mayal Dehlvi. Free Download Phir Aa Gai Ek But Pe Tabiat Ko Hua Kya in PDF.