Kisi Ka Ek Hai Dushman To Dost-dar Hai Ek

kisi ka ek hai dushman to dost-dar hai ek

hamara hijr adu ek wasl yar hai ek

jahan mein shadi o gham se nahin hai dur koi

KHizan adu hai mera ek aur bahaar hai ek

KHushi nasib nahin hum ko ta-ba-hashr koi

hazar ranj hain ek aur ye dil-figar hai ek

bisan-e-marg-o-hayat ahl-e-dil ko aalam mein

hamesha ek hai dil jis pe gham sawar hai ek

mila hai husn-e-KHuda-dad jin ko aalam mein

fida jo ek hai un par to jaan-nisar hai ek

rah-e-wafa mein ye hai haal aashiqon ka mudam

KHarab ek hai shorida-sar to KHar hai ek

miloge hum se jo 'miskin' dui ko dur karo

shumar ek hai gar dam hai do pe tar hai ek

(571) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ka Ek Hai Dushman To Dost-dar Hai Ek In English By Famous Poet Miskeen Shah. Kisi Ka Ek Hai Dushman To Dost-dar Hai Ek is written by Miskeen Shah. Read famous Poem Kisi Ka Ek Hai Dushman To Dost-dar Hai Ek for youth and Student by Miskeen Shah. Free Download Kisi Ka Ek Hai Dushman To Dost-dar Hai Ek in PDF.