Nahin Milta Dila Hum Ko Nishan Tak

nahin milta dila hum ko nishan tak

makan DhunD aae us ka la-makan tak

bana har mu-e-tan KHar-e-mughilan

sataya josh-e-wahshat ne yahan tak

hamari jaan ke pichhe paDa hai

dil-e-nadan ko samjhaen kahan tak

rawan shab ko hua kya naqa-e-ruh

nazar aai na gard-e-karwan tak

zamin pe zalzala aaya to pahuncha

mere nalon ka ghaugha aasman tak

mile hai dil ko zauq-e-bosa-e-lab

maza hai warna har shai ka zaban tak

jo rakhte the dimagh apna falak par

zamin par ab nahin un ka nishan tak

jalaya shama sa us shola-ru ne

gae ghul soz-e-gham se ustuKHan tak

jahan ki sair ki 'sayyah' hum ne

na pahunche par suKHan ke qadr-dan tak

(601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Milta Dila Hum Ko Nishan Tak In English By Famous Poet Miyan Dad Khan Sayyah. Nahin Milta Dila Hum Ko Nishan Tak is written by Miyan Dad Khan Sayyah. Read famous Poem Nahin Milta Dila Hum Ko Nishan Tak for youth and Student by Miyan Dad Khan Sayyah. Free Download Nahin Milta Dila Hum Ko Nishan Tak in PDF.