Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do

qais jangal mein akela hai mujhe jaane do

KHub guzregi jo mil baiThenge diwane do

lal Dore teri aankhon mein jo dekhe to khula

mai-e-gul-rang se labrez hain paimane do

Thahro tewri ko chaDhae hue jate ho kidhar

dil ka sadqa to abhi sar se utar jaane do

mana kyun karte ho ishq-e-but-e-shirin-lab se

kya maze ka hai ye gham dosto gham khane do

hum bhi manzil pe pahunch jaenge marte khapte

qafila yaron ka jata hai agar jaane do

sham o parwana na mahfil mein hon baham zinhaar

shama-ru ne mujhe bheje hain ye parwane do

ek aalam nazar aaega giraftar tumhein

apne gesu-e-rasa ta-ba-kamar jaane do

saKHt-jaani se main aari hun nihayat ai 'talKH'

paD gae hain teri shamshir mein dandane do

hashr mein pesh-e-KHuda faisla is ka hoga

zindagi mein mujhe us gabr ko tarsane do

gar mohabbat hai to wo mujh se phirega na kabhi

gham nahin hai mujhe ghammaz ko bhaDkane do

josh-e-barish hai abhi thamte ho kya ai ashko

daman-e-koh-o-bayaban ko to bhar jaane do

waizon ko na kare mana nasihat se koi

main na samjhunga kisi tarah se samjhane do

ranj deta hai jo wo pas na jao 'sayyah'

mano kahne ko mere dur karo jaane do

(1460) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do In English By Famous Poet Miyan Dad Khan Sayyah. Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do is written by Miyan Dad Khan Sayyah. Read famous Poem Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do for youth and Student by Miyan Dad Khan Sayyah. Free Download Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do in PDF.