Aansu Bhi Baha Kar Dekh Liye Soz-e-gham-e-pinhan Kam Na Hua

aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua

dil mein teri ulfat ka shoala shoala hi raha shabnam na hua

duniya ki bahaaron mein kho kar main apni nazar se chhup jata

sad-shukr dil-e-agah mera dil ban gaya jam-e-jam na hua

tha dagh-e-tamanna ruh-shikan kuchh himmat-e-gham kaam aa hi gai

dil mein to baDe tufan uThe aansu na bahe matam na hua

hum shukr-e-sitam yun karte hain jaise koi neamat mil jae

lekin ye tera andaz-e-nazar nashtar hi raha marham na hua

bikhre hue tinke chun chun kar tamir nasheman kar to liya

tamir-e-nasheman se lekin ehsas-e-tabahi kam na hua

kafi hai 'faridi' ko wo nazar jo marham-e-zaKHm-e-hasti hai

tu ne jise apna gham baKHsha phir us ko kisi ka gham na hua

(468) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansu Bhi Baha Kar Dekh Liye Soz-e-gham-e-pinhan Kam Na Hua In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Aansu Bhi Baha Kar Dekh Liye Soz-e-gham-e-pinhan Kam Na Hua is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Aansu Bhi Baha Kar Dekh Liye Soz-e-gham-e-pinhan Kam Na Hua for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Aansu Bhi Baha Kar Dekh Liye Soz-e-gham-e-pinhan Kam Na Hua in PDF.