Andaz-e-suKHan Maslahat-amez Bahut Hai

andaz-e-suKHan maslahat-amez bahut hai

phir bhi ye ada teri dil-awez bahut hai

aashufta-mizaji pe meri tanz na kije

andaz-e-jahan bhi to junun-KHez bahut hai

hum se wo mila hai to khule dil se mila hai

duniya ko shikayat hai kam-amez bahut hai

hum us se juda ho ke bhi yun jhum rahe hain

jaise ki ye lamha bhi tarab-KHez bahut hai

ek bar bhi tharrai na lau sham-e-wafa ki

sunte the zamane ki hawa tez bahut hai

tum abr-e-karam ban ke zara aa ke to dekho

KHak-e-dil-e-barbaad bhi zarKHez bahut hai

kuchh aur shikayat to nahin teri nazar se

ye baat alag hai ki zara tez bahut hai

ab dekhiye kis rang mein ye sham Dhalegi

kuchh gardish-e-haalat ki lai tez bahut hai

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andaz-e-suKHan Maslahat-amez Bahut Hai In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Andaz-e-suKHan Maslahat-amez Bahut Hai is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Andaz-e-suKHan Maslahat-amez Bahut Hai for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Andaz-e-suKHan Maslahat-amez Bahut Hai in PDF.