Barson Jo Nazar Tufanon Ke Aaghosh Mein Palti Rahti Hai

barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai

us mast nazar ki har jumbish afsane ugalti rahti hai

jo tark-e-talab se pahle tha dil ka wahi aalam aaj bhi hai

aaina nahin badla jata taswir badalti rahti hai

ji bhar ke use dekha lekin ab tak ye nazar bharti hi nahin

masum ada mein rah rah kar ek baat nikalti rahti hai

tu mere junun se nalan hai is par to nazar kar ai naseh

wo zulf KHud apne halqon ke andaz badalti rahti hai

mai-KHana 'faridi' kya jaane kis ko na mili kis ne pi li

saghar hain ki chalte rahte hain sahba hai ki Dhalti rahti hai

(461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barson Jo Nazar Tufanon Ke Aaghosh Mein Palti Rahti Hai In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Barson Jo Nazar Tufanon Ke Aaghosh Mein Palti Rahti Hai is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Barson Jo Nazar Tufanon Ke Aaghosh Mein Palti Rahti Hai for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Barson Jo Nazar Tufanon Ke Aaghosh Mein Palti Rahti Hai in PDF.