Be-shauq-e-talab Be-zauq-e-nazar Be-rang Thi Unki Gul-badani

be-shauq-e-talab be-zauq-e-nazar be-rang thi un ki gul-badani

ye kohkan-o-majnun ki nazar shirin bhi bani laila bhi bani

dekhe hue un ko der hui har naqsh abhi tak taza hai

be-gana-washi mastana-rawi jadu-nazari shirin-suKHani

hum apne hi ghar mein rahte the jab teri nazar mein rahte the

ab roz satati hai hum ko ai dost watan mein be-watani

phulon mein jhalakte hain chehre shaKHon pe guman aaghosh ka hai

kuchh aisi basi hai nazron mein gul-pairahani nazuk-badani

nazron mein na be-mehri ki ada baaton mein na wo KHushbu-e-wafa

kitne hi dilon ko toD gai zalim ki jabin ki be-shikani

us bazm-e-tarab mein hansne par majbur hamein qismat ne kiya

phulon se jahan shoale lapken saghar mein ghule hire ki kani

shoalon mein nikharte hain jauhar qismat pe 'faridi' tanz na kar

gham aisi hi neamat hai jis ko pate hain yahan qismat ke dhani

(469) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-shauq-e-talab Be-zauq-e-nazar Be-rang Thi Unki Gul-badani In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Be-shauq-e-talab Be-zauq-e-nazar Be-rang Thi Unki Gul-badani is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Be-shauq-e-talab Be-zauq-e-nazar Be-rang Thi Unki Gul-badani for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Be-shauq-e-talab Be-zauq-e-nazar Be-rang Thi Unki Gul-badani in PDF.